Jinnat ki Haqeeqat Kya Hai ? - Jinnat Ka Waqia - Quran Mein Jinnat Ka Bayan - Dr Israr Ahmed Bayan

Hazrat AbulAwliya farmate hai jinnat ko jumeraat ke din paida kiya gaya, ALLAH T'AALA ne Hazrat Adam Alaihissalam ki paidaish se 60 hazaar saal pahele jinnat ko zameen mai basaya tha, Jinnat aag se paida kiye gaye hain, unmai kuch ko yeh takat di gayi hai ki joh shakl chahe ikhtiyaar karlen insaan ki tarah aql wale aur jism wale hai, unmai paidaishi silsila aur nasl ki badhotri bhi hoti hai khate peete hain aur marte jeete hain, Jinnat momin aur kafir dono hote hai lekin kafir jinnat ki tadaad jyada hai insaan ki tarah unmai bhi musalman, yahudi,nasrani,majusi,mushrik wagaira hote hai isi tarah sunni,raafzi,kharzi,bid'aati wagaira bhi hote hain, Jinnat jab zameen par abaad huwe toh unka apas mai hasad wa hakad shuru huwa unhone zameen par fasaad kiya khoon bahaya aur qatl wa garat kiya, Iblees joh uswaqt bahut maqbool bargahe ILAHI tha use huqm huwa ki apne saath farishto ki ek jamaat le aur jinnat ko zameen se nikal kar pahado aur zazeero ki taraf dhakel de, aur aisa he iblees ne kiya usne apne saathiyo ke saath jinnat ko mar mar kar pahado aur zazeero par bhaga diya, Ibne Kaseer mai hai ki jinnat ko zameen se pahado aur zazeero mai bhaga dene ka waqiya Hazrat Adam Alaihissalam ki paidaish se 2000 saal pahele ka hai, Tafseer e naeemi mai hai ki jinnat zameen par 7000 saal tak abad rahe is qaul ke mutabik jinnat ko zameen se bhaga ne wala waqiya Hazrat Adam Alaihissalam ki paidaish se 53000 saal pahele ka hai, Huzur Nabi e Kareem ﷺ par joh jinnat imaan laye unke baare mai Hazrat Ibne Abbas RadiAllahu Anhu farmate hai ki yeh 7 jinn the, Hazrat Ibne Masood RadiAllahu Anhu ne farmaya ki 9 the, Baaz Hazraat se marvi hai ki yeh 15 the, ek riwayat mai hai ki 60 unto par aaye the, ek riwayat mai inki tadaad 300 hai, ek aur riwayat 6000 ki hai aur yeh bhi marvi hai ki 12000 the, in sab mai tatbeek yeh hai ki, kyun ki kayi wafd aye the mumkin hai ki kisi mai 9 kisi mai 7 he hon kisi mai jyada kisi mai aur jyada, Hazrat Mujahid Rehmatullah Alai kahete hai ki yeh jinnat Nasibain ke rehne wale the, Hazrat Ibne Masood RadiAllahu Anhu farmate hai ki yeh Asal Nakhla se aaye the, Abu Hamza Shimaal ka kahena hai ki Banu Shausaan ke the, Hazrat Ikrama RadiAllahu Anhu ka qaul hai ki yeh Zazeera Mausal se aaye the, Hazrat Abdullah Bin Masood RadiAllahu Anhu farmate hai ki jab unhone jaad wa tosha talab kiya toh Huzur Nabi e Kareem ﷺ ne haddiyan unke liye tosha aur gobar unka chara mukarrar farmaya, aur Huzur Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya har haddi unke haath lagte he aisi ho jayegi jaisi us waqt thi jab khayi gayi yani ghosht wali hokar unhe milegi aur gobar mai bhi wahi daane paye jayenge joh us roz the jab khaye gaye the, bas koi bhi shaksh haddi wa gobar se istinja na kare, Ibne Kaseer, . Insaan ki tarah Jinnat ko bhi Sahabi hone ka sarf hasil hai, Jinnat ki 3 qisme hai jismai ek qism woh hai joh insaano ki tarah hai aur inse hisaab kitaab bhi hoga sawalat e kabr bhi honge, Jinnat jannat mai bhi honge ya nahi is silsile mai chand qaul hain Imaam e Azam RadiAllahu Anhu farmate hai ki nahi, Jannat sirf insaano ke liye hai aur Sahibain farmate hai ki jannat jinnat ko bhi naseeb hogi, ek qaul yeh hai ki jinnat mai se joh momin hai woh jannat ke aas paas makano mai rahenge jannat mai sirf sair karne aaya karenge, Sharah fiqhe akbar, Behrul Uloom,Umdatul Qari, Almalfooz......

Comments